Dharmik & Sense – Dana Dana Lyrics

Dana Dana Lyrics Dharmik & Sense MTV Hustle 4

[Intro: Sense, Dharmik & both]
Dana-dana kiska naam hai
Main bataata hai
Dana-dana kiska naam hai
Main bataun
Dana-dana kiska naam hai
Main bataata hai
Dana-dana kiska naam hai

[Chorus]
Dana-dana kiska naam hai
Kauva kehta mera naam
Koyal kehti aadha mera
Kauva saala chheene jaan
Yeh kauve ki chaal hai
Mere ku toh maloom hai
Yeh kauva bimar hai
Main bhi wahi samjha raha hoon

[Verse 1]
Machhli jal ki rani hai na, jeevan uska pani
Jo kachhuaa bhaage tez na woh aise kaise jeetega
Khargosh jaane kyun sargoshi aalam baitha hai
Jo jantar-mantar maanega, woh kaali billi paalega
Teen rasta, nimbu kaat, zeher phaila karobaar
Kauva bole khana de mara jo bhi meri maut
Kutta wafadaar tha, woh maalik hi badnaam
Raja sher kaise maanega praja ki haalat kaise thi
Gunah qubool hai, mera huzoor hai
Wafa qusoor hai, mera wajood hai
Mera junoon hai, mera saboot hai
Mera wajood hai meri kala
Jism-o-jaan mein na hi khoon hai
Dil mein noor hai, na sukoon hai
Gunaah qubool hai mujhe, mera huzoor

[Refrain]
Ek jog chala, ek jog chala
Dil rog mara, dil rog mara
Usey kisi ka na darr, usey kisi ka na darr
Usey rab se wafa, usеy rab se wafa
Ek jog chala, dil rog mara
Usey kisi ka na darr, usey rab sе wafa
Mhare hiwde mein naache na mor
Hai meri rab se wafa anmol

[Chorus]
Bataa dana dana kiska naam hai
Main bataata hoon
Bataa dana dana kiska naam hai
Meri safed duniya
Teri safed raste bataa mujhe
Rubaru karata hoon
Bataa dana dana kiska naam hai
Khud se mil

[Verse 2]
Dana-dana moh maya, qudrat ke parche azmaya tha
Uttar-dakshin, purab-pashchim, ssab tere mein samaya
Ishaare mere thukra ke, suljhiwi duniya uljhaya
Andhera darshaya, teri kaya paraya saaya
Main-main karti maina, bina samjhe yeh lekha-jokha
Wah-waahi badnaami, kana karmon ke hisabon ka
Main bhi bhoga jeevan, yeh insanon mein insanon ka
Duniya mili bhoola tu, mera tha jo mera hoga
Main dagar-dagar ghooma, tu mila nahi kahin
Mann ki aankhon se teri yeh kaalapana mita nahi
Sacche dil mein prem pata jahan ka bataata
Wahan andar-baahar kann-kann
Har pal main hi main nazar aata
[Refrain]
Ek jog chala, dil rog mara
Usey kisi ka na darr, usey rab se wafa
Mhare hiwde mein naache na mor
Hai meri rab se wafa anmol

[Verse 3]
Ae sanam, ae sanam, aisa kaisa hai jatan
Umar-karam rang-roop, karam-dharam sab bataa
Ae sanam, ae sanam, aisa kaisa hai jashan
Neet-geet reet-preet, rog-dard sab bataa
Ghada bhara, karam chale, khoon baha sareaam
Khet gaay, mehel dana, seedha chala ghalat kaam
Mor-mor kahe nazar, laga kala teeka laal
Chor-chor bhaaga, bol kiska hai yeh kaala baal
Maina maina, ruk ja maina, pagal kauva haarega
Arz hai mera tu kash laga, woh kashmakash thi
Maina maina, na darr maina, tera bhi din aayega
Karz hai tera jo tu raha, uss kashmakash mein
Dana tumhare karam hai

[Chorus]
Dana-dana kiska naam hai
Kauva kehta mera naam
Koyal kehti aadha mera
Kauva saala chheene jaan
Yeh kauve ki chaal hai, Dharmik
Shuru mein hi bola tha
Yeh kauva bimar hai, Dharmik
Ab tum samajh jao
Dana-dana kiska naam hai
Kauva kehta mera naam
Koyal kehti aadha mera
Kauva saala chheene jaan
Yeh kauve ki chaal thi, Sense
Samajh gaya
Yeh kauva bimar tha, Sense
Main maan gaya
Samjho karam

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top